EID UL FITR 2020
Sada haste raho jaise haste hain phul
Duniya k sarey ghum tumhe jaaye bhul
Charo taraf pehlao khushiyo ki ronaqh
Dil ki gehrayio say tumhey EID MUBARAK
Zamaney bhar ki ronaqh sey hamey kiya wasta ghalib Hamara chand nazar Aaye tho hamari EID ho jaye
Mahe-e-nau dekhnay tum chhat par na jana
Warna sheher mey EID ki tareeqh badal jayegi
EID UL FITR 2020
Is saal may EID UL FITR 2020 ITWAR (SUNDAY) KO 24 may ko mananay ki puri umeed ki jaa rahi hai, lihaza islami tareeqh kay aain mutabiqh shawal ka mahina
(1441) 10 ko chand nazar aanay say mashrooth hai
Eid ul fitr 2020 may ramzan bahut hi dardnak guzra q kay taravi masjido may ada nhi hui lailatul qa dr ki raat masjidon mey ronaqh nhi hogi , Eid ul fitr 2020 ki namaz eidgah mey padhi nhi jaegi jahan ghamo ka anbaar tha wahan khushiyon ki , barkathon ki , rehmaton ki barsath bhi thi , kunki ALLAH TA'LA ney har ghar ko masjid bana diya.
Eid ul fitr 2020 duniya bhar mey tamam muslmano k liye khushiyo k sath sath thodi si mayoosi bhi hogi kyun k Eid ul fitr 2020 ki namaz sahi jagho mey padhi nhi jayeg. eid ul fitr ramzan ul mabarak k maqhaddas mahiney k iqhtitam k mauqhey par hoti hai, ramazan k maqhaddas mahiney mey roza rakhney wale mo'min k liye eid ul fitr ALLAH ka ajr . yeh mo'min bhi ramzan k babarkath mahiney mey in ehkamat par amal paira honay k liye moqha aur qhuwat ata karney par ALLAH ka shukr ada kartey hain. Traditional kay mutabikh eid ul fitr tamam muslim momalik mey theen [3] din manaya jatha hai . Eid ul fitr aur eid u zuhadono hi islam mey bohat ehmiyat rakhtey hain . jaisa k mandarja zail hadees sey bhi zahir hai .
Bayan kiya hai k Anas bin malik [R.A] jis ney kaha , "ALLAH ney aapko in eidoon [ghair k mehmanon k tehwaar ] sey behtar ata kiya hai". Eid u zuha aur eid ul fitr mey ek cheez yaad rakhen k eid k ayaam [deen] eid ul fitr aur eid u zuha ka roza rakhna haram hai . Eid ul fitr khushi aur lutf andooz honay ka daur hai. Aur yeh bath mandarja zail hadees sey bhi waza hai .
Hazrat ayesha [R.A] ney riwayat kiye hai k Nabi kareem [S.A] ney Abu bakar [R.A] sey kahan eid k din , jab Abu bakar ney dekha k do[2] ladkiyaan madina mey youm e ba'as k mata'aluqh khissay sun rahi thi , aye Abu bakar har logon ki eid hoti hai aur yeh hamari eid hai [ sahi boqhari 952] . Ek riwayat mey kahan gaya hai k ALLAH k Rasool [S.A] ney Abu bakar [R.A] sey kahan , ayr Abu bakar rehnay do inhe , kyun k yeh eid ka din hai .
zakat ul fitr
Eid ul fitr ki namaz padhney sey pehley ek musalman k liye zakath'ul fitr ada karna zarori hai, ramazan ul mubarak k dauran a'am taur par zakath ul fitr ka eylaan kartey hain. Jaisa k a'am zakath ki tarah , zakath ul fitr gharib aur nadaar muslmaan mey taqhseem ki jati hai. pehley zarorat mandh rishtey daaron ko is k baadh zakath ul fitr padosiyo ko agar woh bahut hi kum tabqhay ka ho dena afzal hai. is k baadh zarorat mandh padosiyon ko aur phir dusre zarorat mandh muslamano ko , namaz eid sey pehley zakath ul fitr ada ki jani chahiye.
Eid ul fitr ki namaz
Eid ul fitr ki namaz ka waqht is dauran shuru hota hai jab tulu-e- aftaab k baadh ibtidaai auqhaat mey hi Eid ul fitr ki namaz padhna afzal hai. Eid ul fitr ki namaz baghair kisi aqhamat k ada kijati hai , Eid ul fitr ki namaz do[2] rakath par mushtamal hoti hai jis k dauran takbeer [Allahu akbar] sath martaba talaffuz hota hai
[ALLAHU AKBAR , ALLAHU AKBAR , ALLAHU AKBAR
LAILAHA ILLALLAHU ALLAHU AKBAR ALLAHU AKBAR WALLILLAHIL HAMD]
TARJUMA[MEANING] =
ALLAH sabsey bada hai, ALLAH sabsey bada hai, ALLAH sabsey bada hai , is k siwa koi ma'boodh nhi hai. ALLAH sabsey bada hai , aur ALLAH subhana ta'ala hai.
Eid ul fitr ki namaz padhney k baadh qhotba sunna zarori hai , eid gah ko jathey waqht jo raasta iqhtiyaar kartey hain wapasi par us raastey ko iqhtiyaar na karen balkey raasta badal kar dusrey muqhtalif raasta iqhtiyaar karen
CONCLUSION:
Naazreen ,eid ul fitr ko sahi tareeqhon sey khushiyo k gehma gehmi mey , is eid ul fitr ka lutf bahut khoobsurat andaaz sey manayen . Aap pura dinapney doston aur rishtey daaron k sath khushiyaan lutaayen , lekin apney kam haalaat yaafta sathi musakman bhaiyon aur behnon ko faramosh na karen jin k paas is mubarak eid ko mananey ka zariya nhi hai, un ki madadh lazmi karen, aur sab sey eham bath , hamey aur tamam ummate muslima ko apney dua'on mey yaad rakhen [AAMEEN].
Doston POST ko COMMENTS aur SHARE lazmi karen.




3 Comments
This comment has been removed by a blog administrator.
ReplyDeleteThis comment has been removed by a blog administrator.
ReplyDeleteImpressive post thanx for a valuable post
ReplyDeleteiif u have any doubts plz let me know