Allama Iqbal Ashar

Allama Iqbal Ashar


allama aqbal ashar
Allama Iqbal Ashar
                                                                                                                                              

ALLAMA IQBAL SHAYERI

Mashrikhi shayer Allama Iqbal ko kisi tharuf ki zarurat nahi. Woh duniya key sab sey mashoour shayer,philosopher,barrister,aur scholar hain .           
    Allama iqbal ne 1922 me "king George V" sey "sir" ka laqhab jeet liya. Mashriqh Vasti key shayer banney ke alawa , Allama Iqbal bhi "Musawir-i-pakistan" ,  Hakim -ul- Ummath" aur "Mufakir-e- pakisthan". Azaadi ke baad woh pakistan ke  qhoumi shayer bangaye.

allama iqbal poetry in urdu                                                                    In ki maqhbool taqhliqh "Saarey   Jahaan Se Acha" Hindustan  hamara ' ka qhoumi gaana bangaya.      Allama Iqbal ki paedaishi saalgirah pakistan me 'qhoumi ta-a-teel' (national holiday) ke tour  par manaya jaata hai.                                                                                               

Allama iqbal famous poetry in urdu


  Urdu aur English me Allama Iqbal ke shayeri ka tazah tareen majmuoh  padhen. Aap hamari website par aap ke  janne wale ko Allama Iqbal ke  shayeri aur post ko apne azeezon ke sath, Ghazal post karne ya share karne ke liye housla afzai kar rahe hai.


Aap{ urdutreasure8.blogspot.com} par Allama Iqbal ki shayeri ku share aur ghazal ku online pad sakte hain .
                                                                      
allama iqbal library                                                                                                                                                       
Reh gayi rasmey azan 'ruhey bilali na rahi
Falsafa reh gaya 'talqheen ghazali na rahi
                🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹


Sajda ishq ho tho ibadat mey maza aata hai
Khali sajdo mey tho duniya hi basa karti hai
                 ðŸŒ¹ðŸŒ¹ðŸŒ¹ðŸŒ¹ðŸŒ¹ðŸŒ¹ðŸŒ¹ðŸŒ¹ðŸŒ¹ðŸŒ¹


Log kehtay hain kay bas farz ada karna hai
Aisa lugta hai koyi kharz liya ho rab sey
                  🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹


Teray sajday kahin thujhay kaafir na kar they aye iqbal
Thu jhugta kahin aur hai aur sochta kahin aur hai
                   ðŸŒ¹ðŸŒ¹ðŸŒ¹ðŸŒ¹ðŸŒ¹ðŸŒ¹ðŸŒ¹ðŸŒ¹ðŸŒ¹ðŸŒ¹


Ishq khatil set bhi', makhtul sey humdardi bhi
Yeh bata kis say mohbat ki jaza maangey ga
                  🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹


allama iqbal love shayari


Kyun Ziyaan Kaar Banun, Sood Framosh Rahun
Fikr-e-Farda Na Karum, Mahw-e-Ghum-e-Dosh Rahun
           
Naale Bulbul Ke Sunoon, Aur Hama Tan Gosh Rahun
Humnawa Main Bhi Koi Gul Hun Ke Khamosh Rahun

Jurrat Aamoz Miri Taab-e-Sakhun Hai Mujh Ko
Shikwa Allah Se Khakam Badahan Hai Mujh Ko
Hai Baja Shewa-e-Tasleem Mein Mashoor Hain Hum
Qissa-e-Dard Sunate Hain Ke Majboor Hain Hum

Saaz-e-Khamosh Hain, Faryad Se Maamoor Hain Hum
Nala Ata Hai Agar Lab Pe To Maazoor Hain Hum

Ae Khuda Shikwa-e-Arbab-e-Wafa Bhi Sun Le
Khugar-e-Hamd Se Thora Sa Gila Bhi Sun Le

Thi To Maujood Azal Se Hi Teri Zaat-e-Qadim
Phool Tha Zaib-e-Chaman, Par Na Preshan Thi Shamim

Shart Insaaf Hai, Ae Sahib-e-Altaf-e-Amim
Boo-e-Gul Phailti Kis Tarah Jo Hoti Na Nasim


allama iqbal sher in urdu

Hum Ko Jamiat-e-Khatir Ye Preshani Thi
Warna Ummat Tere Mehboob (S.A.W.) Ki Diwani Thi

Hum Se Pehle Tha Ajab Tere Jahan Ka Manzar
Kahin Masjood The Pathar, Kahin Maabood 
Tujh Ko Maalum Hai Leta Tha Koi Naam Tera
Quwwat-e-Baazoo-e-Muslim Ne Kiya Kaam Tera

Bas Rahe The Yahin Saljuq Bhi, Toorani Bhi

Ahl-e-Chin Cheen Mein, Iran Mein Sasaani Bhi

Issi Maamoore Mein Aabad The Yoonani Bhi
Issi Dunya Mein Yahudi Bhi The, Nusraani Bhi

Par Tere Naam Pe Talwar Uthai Kis Ne
Baat Jo Bigri Huwi Thi, Woh Banaai Kis Ne

allama iqbal sher                                                     

 The Hameen Ek Tire Maarka Aaraaon Mein                                                        Khushkion Mein Kabhi Larte, Kabhi Dariyaon Mein,                                                 


Deen Azaanen Kabhi Europe Ke Kaleesaaon Mein
Kabhi Africa Ke Tapte Huwe Sehraaon Mein.

Shan Ankhon Mein Na Jachti Thi Jahan Daron Ki

Kalima Parhte The Hum Chaon Mein Talwaron
Hum Jo Jeete The To Jnagon Ki Musibat Ke Liye
Aur Marte The Tere Naam Ki Azmat Ke Liye

Thi Na Kuch Taeg-Zani Apni Hukumat Ke Liye

Sar-Bakaf Phirte The Kya Dehar Mein Doulat Ke Liye

Qaum Apni Jo Zar-o-Maal-e-Jahan Par Marti,
But Faroshi Ke Iwaz But Shikni Kyon Karti?

Tal Na Sakte The Agar Jang Mein Arh Jate The

Paon Sheron Ke Bhi Maidan Se Ukhar Jate The
Tujh Se Sarkash Huwa Koi To Bighar Jate The
Taeg Kya Cheez Hai, Hum Toup Se Larh Jate The


allama iqbal famous shayari

Naqsh Tauheed Ka Har Dil Pe Bithaya Hum Ne
Zer-e-Khanjar Bhi Yeh Paigham Sunaya Hum Ne
Tu Hi Keh De Ke Ukhara Dar-e-Khyber Kis Ne
Sheher Qaiser Ka Jo Tha, Us Ko Kiya Sar Kis Ne

Tore Makhluq Khudawandon Ke Paikar Kis Ne
Kaat Kar Rakh Diye Kuffaar Ke Lashkar Kis Ne

Kis Ne Thanda Kiya Atishkuda-e-Iran Ko?

Kis Ne Phir Zinda Kiya Tazkara-e-Yazdaan Ko?
Kis Ki Haibat Se Sanam Sehme Huwe Rehte The
Munh Ke Bal Gir Ke 'HU WA-ALLAH HU AHAD'Kehte The

Aa Gaya Ain Laraai Mein Agar Waqt-e-Namaz
Qibla Ru Ho Ke Zameen Bos Huwi Qoum-e-Hijaz

Ek Hi Saf Mein Khare Ho Gaye Mahmood-o-Ayaz,

No Koi Banda Raha Aur Na Koi Banda Nawaz.




















Post a Comment

3 Comments

  1. Bahut hi sundar collection banaya hai aapne shayari ka, Thank you very much to give us a chance to read beartiful shayaris.

    ReplyDelete
  2. Nice collection of beartiful shayaris...

    ReplyDelete

iif u have any doubts plz let me know