shab e qadr ki raat ki namaz

shab e qadr ki raat ki namaz


shab e qadr ki raat ki namaz


shab e qadr ki fazilat in urdu


       Ramzan mey laylatul qadr bhi hai. Jo aakhri 10 raato mein hume paana hai. Laylatul qadr vo raat hai jo hazaar mahino se behtar hai. Yaani agar koi musalman is raat ko paale to goya usne 1000 raatki ibaadat ka sawaab paaliya. To hume chaahiye ki apne Rab ke saamne ro rokar gidgidaakar apne gunaaho ki bakshish maange. Ramzan hamaare gunaaho ko dhone ke liye aaya hai. Uska ek bhi lamha zaaya na kare.


lailatul qadr ki fazilat



   Shabe  Qhader aur etikaaf.


Shabe Qhadr woh mubaarak raat hai jismein Quran majeed naazil hua. Ye raat apni qhadr aur khimat ke lihaaz se kayi afzal hai. Khazaane ko paanewali woh raat hai jo aam raato ke muqhaable mein kayi ziyaada afzal hai. Hazaaro mahine se behtar hai. Jo koi shaks is raat mein qhiyam kare aur maghfirat kare ya ibaadat kare usko saare gunaaho ki maghfirat ki khushkhabri di gayi hai. Har raat ki tarah is raat mein bhi woh ghadi hai jis mein duaey  qhubul karli jaati hai. Aur deen aur duniya ki bhalaai maangi jaaye woh ataa ki jaati hai. Agar aap is raat ki khair se mehrum rahe to isse badi bud khismati aur kuch nahi ho sakti.

Shabe qhadr konsi raat hai ye hume yakheeni taur par nahi bataaya gaya hai. Hadeeso se malum hota hai ki woh aakhri ashre ki koi taaqh raat hai. Yaani 21vi, 23vi, 25vi, 27vi aur 29vi. To hum sab uski justuju aur talaash mein jutey  rahe, mehnat kare aur apne shauk ki aag ko jaltaa rakhe. Aakhri ashre ki har raat mein use talaash karne ki koshish kare. Jo chiz Allah ko sabse ziyaada mehboob aur pasand woh  ye hai ki bandaa is raat mein usse maange, uski ibaadat kare aur apni maghfirat kare. Apna ehtisaab kare. Kamar kasle aur himmat kare ki aakhri ashre ki har raat mein hum shabe qhadr ko talaash karenge. Namaaz, quran ki tilaawat, zikr aur dua se aur maghfirat karke guzaarenge. Apne saro ko sajde mein, apni peshaani ko zameen par tek kar roe aur gidgidae aur apne gunaaho se tauba aur istighfaar kare.Aur is dua ko kasrat se padhey " Allahumma innaka afuvun tuhibbul af va fa'aa fu anni". Jiska tarjuma is tarah se hai "Mere Allah tu bahot maaf karnewaala hai. Maaf karne ko mehbub rakhta hai to mujhe maaf karde."

  Shabe  Qhader aur etikaaf.


Agar himmat aur hosla ho to aap aakhiri ashre mein etikaaf bhi zarur kare.10 din ka mumkin na ho to kam muddat ka sahi. Etikaaf ruh ko paakiza karta hai aur apne Rab ke kareeb karta hai.Aap sallallahu alaihi wasallam ne hamesha etikaaf kiya hai aur iski badi taakid farmaayi hai. Hazrat Aisha raziallahu anha bataaya hai jab ramzan ka aakhri ashra aata to aap sallallahu alaihi wasallam apni kamar kas lete, raato ko jaagte, apne gharwaalo ko jagaate aur itni mehnat karte jitni koi aur ashre mein na karte. Etikaaf ki asal ruh ye hai ki aap kuch muddat ke liye duniya ke har kaam, kaarobaar aur dilchaspi se hatkar apne aap ko sirf Allah ke aage surrender karde. Aap sallallahu alaihi wasallam ne irshad farmaaya ki jo koi etikaaf karta hai uske pichle aur aanewaae saal ke gunaah baksh diye jaate hai. Mard aur bachche masjid mein etikaaf kare aur aurtein gharmein. Iski ek aur fazilat ye bhi aayi hai ki jo log etikaaf karte hai to Allah us saal unki bastiyo ko azaab se mehfuz rakhta hai.  Allah paak se dua hai ki hum sabko shabe qhadr mein jamkar ibaadat karne ki toufiq ataa farmaaye aur etikaaf karne ki himmat aur hosla de.

Aameen ya Rabbal Aalameen.

     

taaq raat ki namaz





         🌹طاق راتوں کےاعمال🌹                   

جاۓ نماز پر قبلہ رو ہو کر پوری توجہ اور یکسوئی کیساتھ پڑھیں۔ 👉
🌹تسبیحات 🌹
ایک تسبیح استغفار
ایک تسبیح درود شریف
ایک تسبیح کلمہ طیبہ
🌹لَا الٰه الّا اللّٰه*🌹
ایک تسبیح دعاۓ لیلۃ القدر
*🌹اللّٰھُمَّ اِنَّک َعَفُوٌّ کَرِیم ٌتُحِبُّ الْعَفْوَ فَاعْفُ عَنِّی🌹*
ایک تسبیح
🌹اَستغفرُاللّٰه لا الٰه الّا اللّٰه اَسْأَلُکَ الْجَنّةَ وَاَعُوذُبِکَ مِنَ النّار🌹
۔
🌹*نوافل🌹
👈دو رکعات نماز صلوۃ التوبہ ایک اٰیک گناہ جان بوجھ کر کیے جو ان جانے میں کیے جو آئندہ کریں گے۔انکو یاد کر کر کے توبہ اور استغفار کریں ۔اور آئندہ ان گناھوں سے بچنے کی توفیق مانگیں۔👈

اوراللہ سے خوب دعا کریں کہ تمام اخالقی برائیاں ,جھوٹ۔غیبت ,چغلی,کینہ حسدو بغض,وغیرہ سے نجات دیں اورہماری پوری  پوری حفاظت فرمائیں  أمین۔👉

🌹دو رکعات صلوۃ الشکر🌹
کے بعد ایک ایک نعمت کا نام لیکر شکر ادا کریں مثلا ایمان ,عزت,اولاد ,صحت ,مال وغیرہ

🌹دو رکعات صلوۃ الحاجات🌹
کے بعد سب حاجات کے لیے دعائیں مانگیں۔دین و دنیا اور آخرت میں کامیابی کیلیے۔ایمان پر خاتمہ اور کلمہ نصیب ہو۔روزمحشراللہ کے عرش کا سایہ نصیب ہو۔جنت الفردوس نصیب ہو۔بلا حساب کتاب جنت میں داخلہ نصیب ہو۔ حضور صلی اللہ علیہ وسلم اور اللہ تعالی کا بے حجاب اور دائمی دیدار نصیب ہو۔

🌹دو رکعات نفل اس نیت سے کہ اس کا ثواب نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم کی ذات کو پہنچے اور اسکے بعد دعا مانگیں کہ اللہ ان کو مقام محمود پر پہنچائیں ۔ان کا دیدار اور شفاعت نصیب فرمائیں۔ خواب میں ان کی زیارت ہو۔ان کے دین پر چلنے والا بنائیں ۔سنتوں پر عمل کرنے والا بنائیں ۔ ہمیں جنت البقیع میں دفن ہونے کی سعادت نصیب ہو۔قیامت کے دن انکا فخر بنائیں ۔ان کے ہاتھوں جام کوثر پلائیں ۔انکے ساتھ جنت میں داخل فرمائیں اور جنت میں انکے ساتھ گھر اور شب وروز کی معیت عطا فرمائیں⚡
۔
🌹دو رکعات نفل 🌹سب صحابہ کرام ,تبع تابعین, بزرگان دین جن کے توسط سے ہم تک دین پہنچا کو ثواب پہنچانے کی نیت سے ۔

🌹دو رکعات نفل اپنے بہترین ازدواجی تعلقات کے لیے🌹

🌹اپنے ہر بچے کے لیے الگ الگ دو رکعات نفل پڑھ کر دعا مانگیں👉۔اگر وقت کی کمی ہے تو سب بچوں کے لیے دو رکعات نفل پڑھ کر خوب دعائیں مانگیں کہ اللہ ان کو اور انکی نسلوں کو ہر قسم کے فتنے جو آج ہیں یا جو مستقبل میں آئیں گے ان سے محفوظ رکھیں اور⚡ خاص طور پر قوم لوط کی کوئی برائی ھمارے بچوں میں نہ ہو⚡۔ بےداغ جوانی عطا ہو۔با حیا ہوں ۔خوب سیرت  ہوں ۔بچیوں بچوں کے اچھے رشتوں کے لیے  دعا کریں چاہے وہ گود ہی کے کیوں نہ ہوں⚡
۔
🌹دو رکعات نفل  پڑھ کر والدین کے لیےدعا کریں ⚡۔

🌹دو رکعات نفل پڑھ کر پوری امت مسلمہ جو لوگ اس دنیا سے چلے گئے جو ابھی ہیں اور جو آئیں گے ان سب کے لیے دعا کریں۔خاص طور پر جن ممالک میں مسلمان بری طرح ظلم کا شکار ہیں ان کے لیے دعا کریں⚡ 
۔
🌹دو رکعات نفل پڑھ کر آپکے خاندان میں جو لوگ کسی پریشانی کا شکار ہیں انکے لیے دعا کریں۔⚡

🌹دو رکعات نفل حج اور عمرہ کی سعادت کے لیے دعا مانگیں۔🌹

🌹آخر میں دو رکعات نفل اس شکر کہ اللہ نے اس ساری عبادت کی توفیق دی اوراللہ اسکو قبول فرما لیں ۔🌹

💕*قرآن کریم  کی تلاوت*💕
جتنی ممکن ہو سکے
۔

👍*صدقہ*👍
چاہے ایک درہم ہی کیوں نہ ہو۔👍

🔹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Huzoor salallaho alaihi wasalam irshad farmate hain key meri ummat mey sey hi mard ya aurat Yeh khwaish karey key iski qhabar noor ki roushni sey munawar Ho tho ise chahiya key mahe Ramazan ki Shabe qhadro mey kasrat key Saath ibadat-e-ilaahi Baja laye takey in Mubarak aur mutabarrak raaton ki ibaadat sey allah paak iske naam-e-amaal sey burayian mita kar nekiyoun ka sawaab aata farmaye Shabe qhadr ki ibaadat sattar (70) Hazaar Shab ki ibaadaton sey afzal hai.


Ekiswi (21) Shab ko chaar (4) Rakaat namaz  2 salaam sey padhen har Rakaat mey baadh Surah Fatiha key Surah qhadr ek ek baar aur Surah ekhlaas Ek Ek martaba padhen.
Baadh salaam ke sattar (70) martaba darood-e-paak padhen.
IN SHA ALLAH TA'ALA is namaz key padhne Waley key haqh mey farishtay dua-e-maqhfirat karenge.

shab e qadr ki raat




Mahe Mubarak ki tayiswi (23) Shab ko chaar (4) Rakaat namaz 2 salaam sey padhen aur har Rakaat mey baadh Surah Fatiha key Surah qhadr ek ek baar aur Surah ekhlaas teen teen baar padhen.
IN SHA ALLAH TA'ALA waaste maqhfirat gunah key yeh namaz bahut afzal hai.

shab e qadr ki raat

Mahe Ramazan ki pachees (25) Tareekh ki Shab ko chaar (4) Rakaat namaz 2 salaam sey padhen badh Surah Fatiha key Surah qhadr Ek Ek baar aur Surah ekhlaas paanch paanch martaba haar Rakaat mey padhni hain, baadh salaam key kalima-e-tayub 100 martaba padhen baargahe rabbul izzat sey IN SHA ALLAH TA'ALA beshumaar ibaadat ka sawaab ataa hoga


shab e qadr ki raat ki ibadat





Satayisvi (27) shab ko 12 Rakaat namaaz teen (3)salam say padhay har Rakaat may baad Surah Fatiha kay suraj qhadr ek ek martaba, Surah ekhlaas 15 martaba padhay baad salaam Kay 70 martaba astaghfar padhay ALLAH TA'ALA is namaz padhnay walay ko nabiyo ki ibadat ka sawab ataa farmayengay IN SHA ALLAH TA'ALA

Untheesvi( 29) shab ko chaar (4) Rakaat namaz 2 salaam sey padhen har Rakaat may Surah Fatiha kay surah qhadr ek ek baar Surah ekhlaas teen teen martaba padhen baadh salaam key Surah alam nashrah sattar (70) martaba padhen.  Yeh namaz waaste kamil imaan key bahut afzal hai.
IN SHA ALLAH TA'ALA Merey parwardigaar is namaaz key padhne walon ko duniya se mukammal imaan key Saath uthaega .


shabe qadar ki raat




Ramzan shareef mey isha aur taraweeh namaz key baadh Rozana  teen martaba kalima-e-tayub padhne ki Bahut Fazilat hai. 
Awwal martaba padhne sey gunahoon ki maghfirat hogi. 
Dusri martaba dozaqh sey azaadi hogi. 
Teesri martaba padhnay sey jannat ka mustahaqh hoga. 

images of ramazan/ramadan kareem images






      ramadan quotes/ramzan status












🌹🔹💕🔹🌹🔹💕🔹

🌹Dua may hamay bhi yaad rakhain
Comments zarur kariyega aap ko kaisa laga yeh post🌹




Post a Comment

0 Comments