ramadan mubarak/ramadan mubarak/ramzan ki shayari

ramadan mubarak/ramadan mubarak/ramzan ki shayari


happy ramadan

           Mah ramzan woh
hai jis mey Quran utara gaya jo logo ko hidayat karnay wala  hai aur jis mey hidayat Ki huqh o bathil ki tameez ki nishaniya hain  tum mey say jo shaqhs is mahinay ko paaye ousay chahiye kay roza rakhay han jo bimar ho ya musafir ho ousay dusray dino yeh ginti puri karni chahiye ALLAH thala ka irada thumharay saat Aasani ka hai saqhti ka nahi woh chahta hai tum ginti puri karlo aur ALLAH thala ki thi huvi hidayat par is tarha ki badhayiyan bayan karo aur ous ka Shukur ada karo
      Aaye imaan walo! tum par
rozay rakhna  farz kiya gaya jis tarha tum say pehlay logo par farz kiye gaye thay tha kay tum taqhwa iqhtiyar karo


chand raat mubarak

             Aap sab ko chand raat mubarak !! Sab ibadat mey mashghul ho jaaye, ramzan mehman hai nekiyo ko paanay aur gunaho ko baqhshwanay ka anmol LA mehdud sawab paanay ka mahina hai ramzan ek aisa heera hai jis ki chamak say har musalmano kay ghar may barkat niyamat rehmat kay moti chamkati hai Dili dua hai aap sab is niyamat say sarfaraz rahay ramzan ki taravi tahjud tasbhi namaz khusho o khuzu say padhay kotahi na bartay har taaqh raat jaag kar ibadat karey nafil namaz kasrat say padhay in raato mey lailatul  qhadar ki ibadat bahut afzal hoti hai khub ibadat karey aur mujhay bhi duao mey yaad rakhay 





ramzan mubarak


                             

          RAMZAN KI AAMAD


Aa raha hun. Taajiro key  kamayi ka mahina nahi hun. Naye kapdey silwaaney  ka mahina nahi hun. Main isliye nahi aaraha hun key tum Eid  kharidi key  naam par mahina bhar baazaar main nikaaldo. Main tumhey sirf bhuka rakhney  key  liye nahi aaraha hun. Tum ibaadato main dikhava karo isliye nahi aaraha hun. Iftiyaar party key naam par fizul kharchi karo isliye nahi aaraha hun. Main isliye nahi aaraha hun key tum roza rakho aur saara saara din soye raho. Roza rakho aur saara din phone main social media par guzar tho isliye nahi aaraha hun. Iftiyaar ke waqt pet bhar key  khao . Isha aur taraavih ki namaaz qhaza karkey kharratein bharo isliye nahi aaraha hu.

        Main tho aata hun apney Rab ki rahmat bankar.Barkato ki saubaat lekar.Magar tum to usey haasil karney key  bajaaye tijarat key  hisaab kitaab main lug jaatey
 ho. Roza rakh kar samajhtey  ho mainey  badaa teer maar liya. Arey main tho Allah ki taraf sey tumhaari maghfirat ka paimaana bankar aata hun lekin tum log roza rakhkar bhi gunaaho sey baaz nahi aatey. Main Rahman ki rahmat bankar Ghaffar ki maghfirat bankar aata hun laikin tum meri ous tarah mezbaani nahi kartey jis tarha namazi parhezgari taqhwa walay kartay hain


ramadan message



khurbaan jaun unpar.Mera ek din nahi guzarta aur woh afsose kartey reh jaatey  hain key ek din guzar gaya. Woh har waqt namaazo sey aur Quran ki tilaawat sey tasbih aur tahlil sey apney  Rab ko manaaney ki koshish kartey  hain.Har pal woh apney Khaaliqh sey gunaaho ki shikaayat kartey hain. Rahmatein lut they hain barkatein haasil kartey  hain. Maghfirat key paimaaney apney naam kar letey hain aur main aata bhi isliye hun. Jis din main tumhaarey aangan main kbadam rakhunga tho mera har ek lamha hazaar lamho sey behtar hai. Main ek aisa mahina hun  jismey  har pal ALLAH ki rahmat barasti hai. Main kabhi tumko roza bankar aawaaz deta hun aur kabhi sehri aur iftiyaari bankar apne Rab ki yaad dilaata hun laikin tum maantey nahi.
Arey  kahan kho gaye ho 11 mahine gunaaho key daldal main phasney waalo tumhaarey Rab ney  mujhey  tumhaarey  gunaaho ko dhoney key liye bheja hai. Lakin Ramzan main bhi tum log wahi jhut key baazaar, baat baat par takraar, kabhi ghar waalo sey jhagda tho kabhi padosi sey betaallukhi, ghibat jhut aur chughli arey hosh main aavo naadano agar main chala gaya tho maukha haath sey nikal jaayega aur mujhey  lautney key liye 11 mahiney lug jaayengey  aur zindagi ka koyi bharosa nahi. Paagal mat bano tayyari karo meri mezbaani ki dil sey karo khulus e niyat sey karo. Apney Rab ko manaaney ki koshish karo. Namaaz kasrat sey padho. Quran ki tilaawat karo aur Quran ko
 samajhney ki koshish karo. Maghfirat maango aur apney Rab ko apna dukhdaa sunaana key pichley saal hamaarey saath kiya hua apno ney kya kiya aur ghairo ney kya kiya. Apni ummat ki rothey  huvey  musalman ki haalat ko ALLAH  key aagey pesh karna. Afghanistan main kya hua, syria main kya hua, falastin main kya hua aur burma main kya hua.Aur ro ro kar apney  mazlum ummat key liye dua karna key hamaarey  parwardigaar aye 70 maao sey zyaada pyaar karney waaley  moula tujhey  terey pyaarey  habeeb ka waasta is Ummat ki har pareshani aur takleef ko dur farma. Masjido madarso ki hifaazat farma. Maa behno kamzoro ki navjaavano ki buzurgo ki aur maasum baccho ki hifaazat farma. Hamaari bastiyon ki hifaazat farma. Aur hamaari zindagi ko apney noor sey bhardey. Is ramzan main humey namaazi banaa dey tera taabeydaar banaa dey aashqh e  rasul banaadey. 
                           Aameen ya Rabbal Aalamin.




ramzan ki shayari/ramadan mubarak shayari




          Chand raat mubarak



Dikh gaya paak mahinay ka chand
Ghar aa chuka hai mehman
Ibadat kar kay badha tho is ki shaan
Mubarak ho rahey Ramzan

 
Hum tum na hongay  Shayad par aglay saal bhi aayega ramzan
Dar haqhiqhat ramzan nahi
Hum sab insan hain mehman


Tohfa ramzan ka Aap sab ko ho mubarak
Niyamatay ramzan ki thumhay ho Mubarak
Sada rahay tumharey gird rehmato ka ghera
Thumhari zeesth mey na aaye kabhi bathi ka phera


ramadan shayari


Ramzan ki ibadat sab say afzal hoti hai
Rehmato barkato Niyamato wali hoti hai
ALLAH khud aata hai arsh say zameen par
Bata banday kiya hai ghamo ka Anbar dil par
Teray saaray mushkil asaan kardunga
Sajday mey jhuka tho sar dekh phir mai teri duniya badal dunga


Bey-Zubano Ko Jab Woh Zuban theyta Hai,
Padhney Ko Phir Woh Quran theyta Hai,
Bakhshney Pey Aye Jub Ummat Kay Gunahon Ko,
Tohfey Mai Gunahgaro Ko Ramzan theyta Hai.

ramzan mubarak image/ramadan mubarak images free





 ramadan mubarak image























       

Post a Comment

2 Comments

  1. This comment has been removed by a blog administrator.

    ReplyDelete
  2. This comment has been removed by a blog administrator.

    ReplyDelete

iif u have any doubts plz let me know