mahe ramzan/ramadan images pictures
Ramzan ki fazilath.
Tum IBAADAT ki Lamhoon me Mera 1 kaam karna
Har SEHRI sey phley
Har NAMAZ kay baad
Har IFTAR sey phley
Har ROZAY kay baad
Sirf Apni Dua kay kuch alfaaz Merey naam karna....
Yeh thandi hawa nahi istaqhbal hai ous mahinay ka jis kay aamad say pehlay thozaqh bhi thandi ho jaati hai SUBHAN ALLAH
Huzur salalahu Alaihi wasalam ka irshad hai kay Ramazan ul mubarak ki har shab o roz mey ALLAH kay yahan sey (jahanum kay) qhaidi choday jaatay hain aur har musalman kay liye har shab o roz mey ek dua Zarur qubool hoti hai
Aur Huzur salalahu
Alaihi wasalam ka yeh bhi irshad hai kay theen aadmiyo ki dua rudh nahi hoti ek rozaydar ki iftaar kay waqt, dusray aadil baadshah ki dua, theesray mazlum ki jis ko haqh ta'ala shanahu baadalo say oupar otah laythay hain aur aasmaan kay darwazay is kay liye khol thiye jaatay hain aur irshad hota hai kay mai teri Zarur madad karunga ghour kisi maslihat sey kuch dair hojaye.
Huzur salalahu Alaihi wasalam ka irshad hai kay khud haqh ta'ala shanahu aur is ke farishtay sehri Khanay walon par rehmat naazil farmatey hain
ramzan ki fazilat Jis ko ALLAH ney dua ki toufeeqh thi ho
Woh qhubuliyat sey mehroom nahi reh sakta
Jisey ALLAH Astaghfaar ki toufeeqh di ho Woh Maghfirat sey mehroom nahi reh sakta
Aur
Jis ko ALLAH Shukar ki toufeeqh ata kar thi Woh Naimat sey mehroom nahi reh sakta
Ramazan woh mahina hai jo in sabhi ki naimato ko naimato ko ba aasani paa sakta hai Ramazan sudharnay ka mahina hai sawarnay ka mahina hai apnay aap ko in sabhi naimato sey ALLAH HUM SAB KO HIDAYAT KA MAUQHA FARAHAM KAREY AAMEEN
Ramzan garmi key mosam mey aaya hai. piyas ki shidat bahut mehsus hoti hai ,is liye piyas ki shidat mehsus na ho.aap sehri mey 2 spoon dahi ya choti ilaichi ka qhehva piley jis sey pura din aftari thak piyas nahi lagey gi.
Aram sey har roza guzrey ga.
is choti si baat ko sab musalmano thak pohnchayen tha kay koyi bhi fayeday sey mehrum na ho.
mujhey duaon mey yaad rakhiyega
Sehri krne key baad pani ki last 3 ghunt mey
SubhanAllah
Allhumdullila
JazakAllah
Padhey issey aapko piyas nahi lageygi
ALLAH ta'aala Quran shareef mey farmatey hain kay rozey tum par farz kar diye gaye hain jaisey tumsey pehley ki ummato par farz kiye gaye thay taakay tum parhezgaar bano. Ramzan ka mahina aata hai apni rehmat aur barkato ko lekar. Jab ramzan aata hai to jannat ke darwaazo ko khol diya jaata hai aur jahannum ko bund kar diya jaata hai. Shaitaano ko zanjeer mey jakad liya jaata hai aur farishto ka lashkar zameen par bhej diya jaata hai taakay woh har ek bandey key aamaal ko dekhun .Aap sallallahu alaihi wasallam ne irshad farmaya key jisney ramzan key rozey rakhey uskey tamaam pichley gunaah bakhsh diye jaayenge. Jab bunda roza rakhta hai to usey chahiye kay woh sarey gunaaho sey aur ghalat kaamo sey bachey. Ye nahi kay roza rakha aur sarey ghalat kaam kar raha hai jaisey jhut bolna, ghibat karna,chughli karna, hasad karna, television, dekhna mobile mey gaaney sunna, gaaliya deyna, naajayaz kisiko sataana, kisiko bura bhala kehna vaghairah. Rozey ki haalat mein use chaahiye kay bas ALLAH ki ibaadat karey. Namaaz padhey aur zomato aur dua sey apni maghfirat kay liye raasta banaye. Aur roza rakhkar agar namaaz nahi padhtey ho tho aisey shakhs ka koyi roza nahi hota kyuki rozey ki halat mey jab sabar tutney lagta hai tho namaaz hi hai jo rozeydaar ko sabar dilaati hai. Rozeydaar ko chaahiye kay kasrat sey namaaz padhey aur jitna hum namaaz padhengey utna hi ALLAH ka taqhwa ikhtiyaar hoga.
4 Comments
Ramadan Kareem Wishes 2020
ReplyDeleteBest Ramadan Wishes 2020
Ramadan Quotes 2020
Eid Mubarak Wishes 2020
http://ramazan-images.blogspot.com/
ReplyDeleteAwesome page 👍
ReplyDeleteFuzzy, Cute, Fuzzy, Cute, Fuzzy, Cute, Fuzzy, Cute, Fuzzy, Cute
ReplyDeleteFuzzy, 바카라 사이트 Cute, titanium tube Fuzzy, Cute, Fuzzy, Cute, งานออนไลน์ Fuzzy, Cute, Fuzzy, Cute, 퍼스트 카지노 Fuzzy, Cute, Fuzzy, Cute, Fuzzy, Cute, Fuzzy, 카지노 사이트 추천 Cute, Fuzzy, Cute, Fuzzy
iif u have any doubts plz let me know