NAMAZ ki ahmiyat aur fazilat in urdu
NAMAZ ki ahmiyat
namaz ki fazilat hadees in urdu.
Namaaz Allah ta'aala ki ek aham ibaadat hai. Aur Quran mein 700 baar namaaz ka zikr aaya hai.Aur bhi hum jaanayngay namaz ki fazilat hadees in urdu
Hamara Har Kaam Asaan Hoga,
Jis Din Ka Pehla Kaam Namaz Hoga
Har Musalman mardo aur aurto par namaaz farz hai aur paabandi sey uskey awal waqt par padney ka hukm hai. Bacha jab 7 saal ka ho jaaye to usey namaaz sikhaey aur jab 10 saal ka ho jaaye tho usey maarkar namaaz key liye bhejey .
namaz ki ahmiyat per note {in urdu}
Namaaz padne se Allah ka khurb haasil hota hai. Namaaz "aap sallallahu alaihi wasallam "ki aankhon ki thandak hai. Allah ko khush karne ka sabsey behetreen zariya namaaz hai. Namaaz qhabr ka ka roshan chiragh hai aur qhabr key azaab sey bachaaney waali hai. Aur qhayamat key din apney padneywaley key liye sifaarish kareygi.
- Namaaz momin ke meraaj hai.
- Namaaz padney sey chehrey par noor barasta hai.
- Aur qiyamat key din sabsey pehla sawaal namaaz ka hoga.
- Namaaz kisi ko maaf nahi.
Hamarey mauashray Kay namazi
namaazi bhi humaray mauashray mey kayi khisam Kay mileyngey. Har koyi namazi nahi hota ," Haan laikin bey namazi bhi nahi hota meray kehnay ka Matlab Aap samjh javogay
1. Pehli khisam kay namaazi Woh hai jo masjid mein 5 waqht regular haazir rehtay hain punjagana namazi hotay hain MASHA ALLAH
2. Dusri khisam kay jo namaazi hain woh bas jumey key din nikaltay hain. Haftaa bhar woh itney masruf aur busy rehtey hain kay beycharo ko ibaadat ka mauqha hi nahi milta. Allah ney itna dey rakha hai kay Ouski rehnumayi kartay kartay fursat kahan namaz Kay liye jab koyi taklif mehsus huvi tho ALLAH yaad aata hai aur masjid ka raasta nazar aata hai. Baday hi ajeeb andaaz hotay hain unkay , bike pey sawaar hokar horn bajaatey huvey masjid mein may dakhil hotay hain. Wazu banaakar apney rumaal ko nikal kar aisey khada ho jaatay hain jaisey koyi aashiq apni mehbooba ka bus stop par intezar kar raha ho.badey niraaley dhang sey namaaz ko ada karkey 2 rakaat padhkar aisay bhaagtay hain masjid sey jaisey koyi umar qhaid ka qhaidi ho
3. Teesri khisam kay namaazi ramzan key mahiney mein nikaltay hain. Jaisey mendak barsaat mein nikaltey hain saal mey ek baar ous ki tarah. Saal bhar namaaz ka tihkana nahi hota laikin unkey dimagh mey bas ek hi baat hoti hai key ramzaan key mahine mey saarey saal bhar key gunah bakhsh diye jaatey hain. Aur ramzan mey 1 ke badley thugna sawab milta hai chahey koyi bhi amaal ho.
4. Chauthi khisam kay namazi baday khatarnaak hain. Yeh bas shab- e- qhadr ki raat mey nikaltay hain. Isey bas itna hi malum hota hai kay is raat mey nafil namaz jitni padhni hai kasrat sey padhlo saal bhar key farz namaz jo chodhi hai sab is raat mey cover kar letay hain nafil padhkar. Kyukay usey Malum hai kay yeh raat 1000 mahino sey behtar hai. Tho aagey ibadat ho ya na ho ismey tamam namazay cover kar leytay hain.
5. Paanchvi khisam aakhiri hai issey ziyada masruf aadmi koyi nahi aur Aisi namaazi bhi hamaaray qhaum key paas nahi hai. Kyukay woh sirf saal mey 2 hi namaaz padtay hain. Ek ramzan eid ki aur dusri bakhra eid ki. Aur uskey paas ek hi rules hai jisey woh follow kartay hain kay "musalman Woh jo namaaz padhey do"
NAMAZ ki ahmiyat ko janiye |
namaz ki ahmiyat ko jaaniye
Namaaz ki sunnatey aur farz nahi malum humey. Uske wajibaat nahi Malum humey. Bas namaaz padhni hai kisi bhi tarah bas fauran wazu banaatay hain aur daudtay huvay namaaz mey shamil ho jaatay hain jaisey koyi train pakadni hai aur jaisey hi imaam ney kaha Allahu Akbar. Dukaan ka hisaab aana shuru ho jaata hai. Bachey ka chocolate nazar aaney lagta hai biwi key demand ki list nazar aati hai. Business key saarey accounts ki balance sheet nazar aati hai. Election key saarey thau pech nazar aane lagtey hain. Dosto Dosti dushmano ki dushmani waghaira sab nazar aatay hain.
Allah ki khasam jitni aasani sey hum namaaz mey hisaab kartey hain har chiz ka woh fursat kay auqhaat kabhi nahi kar saktey.
Thu thoda mitha bhi hai tu thoda namkeen bhi hai thu thoda jhuta bhi hai
chehrey par thaadhi bhi hai sar par topi bhi hai aur saari ghalat harkatey kartay bhi hain. Namaaz mey khadey hain muh mey jamaai hai naak mey ungli hai.aaaaah kar rahey hain. Aur ek machchar ya chiti kaatle tho masjid mein hi left right shuru ho jaati hai. Ye namaaz hai. Aisi namaazo ko Allah hamaarey muh par maarega qhyamat key din.
NAMAZI KI DAASTAN HUMAREY ZUBAN
Aaye hum tumhey dikhaye ous namaazi ko kay jisko sunkar badan key rongtey khadey ho jaayengey. Qhayamat thak ki taarikh kampti raheygi. Aur duniya key saarey namaazi ouspar qhurbaan ho jaayengey. Aayen sher e murtuza Hazrat Ali raziallahu aanhu ki taraf. Ki jung key maidan mey hain aur dushman ki taraf sey ek theer aati hai aur Hazart Ali key pair mey ghus jaati hai. Hazrat Ali tadapna shuru kar detey hain. Theer pair ko sadaana shuru kar deyta hai. Hazrat Ali machli ki tarah tadaptey hain. Sahaba-e- ikraam jamaa hokar mashwara kartey hain kay theer ko kaisey nikaalay jaaye. Ali ko shadid dard ho raha hai aur theer pair ko sadaa raha hai.
Theer ko nikaalna bahot zaruri hai. Laikin Hazrat Ali ki tadap ko dekhkar sahaba- e- ikraam hairat mey padh jaatey hain kay theer ko kaisey nikaala jaaye. Utney mey ek sahabi aagey aatey hain aur kehtey hain kay Hazrat Ali jab namaaz mey khadey ho jaaye to theer nikaal lo. Hai kisi may itni takhwa Namaaz mey . Hazrat Ali namaaz mey khadey ho jaatey hain aur sahaba theer ko khinch kar nikaal letey hain aur Hazar Ali hiley bhi nahi aur ounko jumbish tak nahi hui. Hazrat Ali salaam phertay hain. Sahaba-e- ikraam khadey ho kar yeh sab dekh rahey they. Hazrat Ali kehney lagey tum mera theer nikaalney aaye ho mai nikaalney nahi dunga. Phir ek sahabi farmaatey hain kay Ali Allah aap par raham karey aap kaisi namaaz padtey hain. kay theer tho nikaala jaa chuka hai aur aapko ek jumbish tak nahi huvi. Allah Akbar.
SUBHAN ALLAH
Merey Musalmano Hazrat Ali ka yeh khissa apney dimagh aur dilo mey bitahalo. Arey ounho ney tho theer aur khanjar key waar khaney key baad bhi namaaz chodhna pasand nahi kiya. Aur hum hai kay zara si problem aajaye tho sabsey pehley hum namaaz ko chodhtey hain. Jab kAt Allah farmaata hai kay merey bandey thujhay kiya maangna hai namaz padhkar maang mai thujhay ataa karunga thu duniya waalo sey maangey ga tho duniya waaley thujhay bhikari kahengey. Jo chahey namaz padhkar maanglo. Sharik- e-safar maanglo ,bachchey maanglo daulat maanglo ,shohrat maanglo, karobaar ki tarkhi maanglo, maghfirat maanglo sabkuch , Allah deney par khadir hai. Pehley thu sar jhuka tho sahi. Sabkuch mileyga namaaz mey ek baar paaband tho banjao merey aziz musalmaano. Namaaz jannat mey jaaney ki chaabi hai. Qhayamat key din sirf namaaz bachayegi humey har jagah. Namaaz padho issey pehley hamari namaazey padhi jaaye. Allah rabbul izzat sey dua hai key sabse pehley mujh ko aur duniya key saarey musalmaano ko paabandi sey namaaz padhney ki thoufiqh ataa farmaye.
AAMEEN YA RABUL AALAMEEN.
Hi,
Greetings from fashion craze
Hope you and your loved ones are safe and healthy in such tough times.
We are Dealing in All Kind Of Bridal Dress , Saree , Suit , Kurti Lehnga
Would love to offer you best
Genuinity Guaranteed!!
If you are interested and would want regular updates about our products,
Kindly revert us back with your *NAME and location
Regards,
Fashion craze
You can check my collections in insta any space issues
{ fashioncraze_dresses }
For bookings plz comment or dm
10 Comments
Amazing blog
ReplyDeleteVery good info
Keep going
Subhanallah
DeleteMashallah
ReplyDeleteVery informative
ReplyDeleteWonderful and motivation post...masha allah
ReplyDeleteBrother Where i can found it in both English and Urdu Languages.
ReplyDeleteIts my urdu blog sumilar to hindi some aeticles text in english,this blog is not english language
DeleteAwesome post
ReplyDeleteNice
ReplyDeleteMashallah
ReplyDeleteiif u have any doubts plz let me know